Tuesday, August 31, 2010

Meri Kahani


yeh ankhon ki nami aik kahani batati hai meri
par us kahani ko sunane mein jann jati hai meri

iis ko aik kahani kahon yaan taavel silsila-e-zindagi meri
ek umar guzari thi mein nay banane mein kahani meri

khushiyan, ansoo, ghum, umedien aur pyar tha kahani mein meri
par lamha bhi chota para jabh bigharne per ayi kahani meri

ab tau na neend hai aur na hi koi khuwab hai ankhon mein meri
ab aggar kuch bacha hai tau woh hai sirf ankhoon mein mani meri ..

No comments: